Bashir Badr Best Shayari with Lyrics Raat Aankhon Mein Dhali

Bashir Badr Poetry

Bashir Badr Best Shayari with Lyrics Raat Aankhon Mein Dhali

 

Who is Bashir Badr?

Syed Muhammad Bashir popularly known as Bashir Badr was born on 15 February 1935. He is one of the most famous Indian poets. He has created some of the exemplary pieces of poetry and literature.

 

DOB/Place 15 February 1935 (age 83)
Ayodhya, India
Occupation Poet
Nationality Indian
Education M.A , PhD
Genre Ghazal
Subject Love, Philosophy
Spouse Rahat Badr

 

Bashir Badr Best Shayari

 

Raat aankho’n me dhali palko’n pe jugnoo aaye

Raat aankhon me dhali palkon pe jugnoo aaye
Ham hawaaon ki tarah jaa ke use chhoo aaye

Bas gayi hai mere ahsaas me ye kaisi mahak
Koi khushboo me lagaaon teri khushboo aaye

Usne chhoo kar mujhe patthar se phir insaan kiya
Muddato’n baad meri aankhon se aansoo aaye

Mera aaina bhi ab meri tarah paagal hai
Aaina dekhne jaaon to nazar tu aaye

Kis taklluf se gale milne ka mausam aaya
Kuchh kaagaz ke phool liye kaanch ke baajoo aaye

Un fakiron ko ghazal apni sunate rahiyo
Jinki aawaz me dargaaho’n ki khushboo aaye

 

Bashir Badr Best shayari poetry hindi English

 

Bashir Badr Best Shayari in Hindi

 

रात आँखों में ढली पलकों पे जुगनूँ आए

रात आँखों में ढली पलकों पे जुगनूँ आए
हम हवाओं की तरह जाके उसे छू आए

बस गई है मेरे अहसास में ये कैसी महक
कोई ख़ुशबू में लगाऊँ तेरी ख़ुशबू आए

उसने छू कर मुझे पत्थर से फिर इंसान किया
मुद्दतों बाद मेरी आँखों में आँसू आए

मेरा आईना भी अब मेरी तरह पागल है
आईना देखने जाऊँ तो नज़र तू आए

किस तकल्लुफ़ से गले मिलने का मौसम आया
कुछ काग़ज़ के फूल लिए काँच के बाजू आए

उन फ़कीरों को ग़ज़ल अपनी सुनाते रहियो
जिनकी आवाज़ में दरगाहों की ख़ुशबू आए

बशीर बद्र

 

RELATED: Kabhi kabhi Original Poem By Sahir Ludhianvi

 

Leave a Comment